Tuesday, March 20, 2007

my thoughts on love

16/03/07
Here are some shayaris which m very sure only folks who know hindi will understand. But others don get disheartened cos there are more tid-bits coming up from the drifter… Wrote them thinking about all the hearts I have broken. They’ll mend I know but what about me, the sinner?? Ah the pain of being in love n then getting out of it is something. Try it out people.

Dil jale meri aahon se
Mere mehboob ke pukar me
Mohabath ye meri mauth hai
Diwane samajhthe hain, yeh jan hai

Aankhon se ashk yun gire
Jalna jalana to khel hai
Har baar pyar ek dokha
Magar ye dal dal zindagi hai

Is pagalpan ne maar dala
Hai is pyar ke jhaunke ne
Khuda ne bhi kya ajeeb khel khela
Kambakt ishq ko janm diya
Banaya ise yahan ka riwaj
Jo hume mare aur hum mare

Mauth mile use
Jo aise na mare
Ye jaaam me jo nasha hai
Dua karoon,ye sabko mile

Ye jhalak hai mere dil ki
Sunlo diwano,dilwalon
Pyar karna ek saza hai
Is gunah ko apnalo

Tumhein ye dil shauk se de dun
Tumhari ye dosthi mein shauk se jhel lun

Is dil ki galiyon me aya karo
Kadmon se rah ko chuma karo
Ye dil tumhara ho jaye
Tum is kadar jo hume chaha karo

Ret par naam likha karte nahin
Ret par naam tika karte nahin
Log hume kehte hain pathar dil
Pathar par se naam kabhi mit tha nahin

Anjan ajnabee se mulakat hui
Aankhon hi aankhon mein duri mit gayi
Khoobiyon se to pyar hota hi hai
Mohabbath ho gayi aapki kamiyon se bhi

Uthre jo aapke dil ki gehrayi me
Mehfil ke bhi tanhayiyon me
Dhoondha aapko is tarah
Dekhne lagi aapko apni hi parchayiyon me

Sapnon me khoye rehte the
Hum bhari jagahon me akele the
Aapke ane se duniya itni badli
Bhari jagahon me kya, akelepan me bhi
Hum apke khyalon me mehfus hain

Dil ka kya, kabhi idhar to udhar
Mohabbath ka kya, kabhi milna to kabhi khona
Magar aye yaar teri dosthi
Rahe humesha saath me, na is par na us par

No comments: